Saturday, March 1, 2014

A rainy day

phir megh aaye umad ghumad ke, 
badra barse, jiyara tarse; 
chhod chale the hum jin galiyon ko, 
aaj wahin se hawaaon ka jhonka aaya hai;
saath apne mere bachpan ke kuch din bhi laya hai.

Aaj baith phakira karta hai hatheli ke sikkon ka hisaab
yaadon ka hisaab, rishton ka hisaab;
kuch mude tude noton ka hisaab,
taabeej mein bandhi pudiya mein nanhi mini ki ungliyon ki chhap ka hisaab;
beete hue zindagi ki thokron ka hisaab,
apnon ke apnapan ka hisaab;
rishton ki ahmiyat ka hisaab,

jhunjhla utha hai wo,
ye daulat bhi le lo, ye shohrat bhi le lo;
aur lelo mujhse tum meri jawani,
saath hi tum lelo meri zindgaani;
jab tumne le hi li hai meri wo kagaz ki kashti,
wo baarish ka paani.

Naval Singh ....NICE






No comments:

Post a Comment